Thursday, 19 August 2010

Lyrics - Yeh jo Halka Halka Suroor Hai (Ustaad Nusrat Fateh Ali Khan)

Saki ki har nigaha pe balkha ke pee gaya
Lehro se khelta hua lehra ke pee gaya

Aye rehmate tamam meri har khata muaaf
Mein inteha e shauk mein ghabra ke pee gaya

Pee ta bagair izn, yeh kab thi meri majaal
Dar parda jashne yaar ki sheh paake pee gaya

Zahid yeh meri shokhiye zinda na dekhna,
Rehmat ko baaton baaton mein behla ke pee gaya

Udi udi ghataye aati hai,
Mutribo ki navayen aati hai
Kiski yeh soo khuli hai saawan mein
Mehki mehki hawaein aati hai

Aao sehne chaman mein raks kare
Saaz lekar ghataye aati hai,
Dekh kar unki akhniyo ko adam,
mehkado ko hayae aati hai

Paas rehta hai , duur rehta hai
koi dil mein zaroor rehta hai

jab se dekha unki aakhon ko,
halka halka suroor rehta hai

aise rehte hai woh mere dil mein
jaise zulmat mein noor rehta hai

ab adam ka yeh hal har dam
mast rehta hai, choor rehta hai

1 comment:

Anonymous said...

good one